Hotstar kya hai ? What is Hotstar in hindi ?

Hotstar kya hai ? What is Hotstar in hindi ?Hotstar ke baare me aap ante hi honge, movie, TV Shows dekhne ke liye iska use kiya hoga,, or agar aap Hotstar ke baare me nahi jante hai to is post ko padhane ke baad jaan jayenge, yaha par ham Hotstar kya hai, Hotstar ka use kaise or kyu kare ? ke baare me batane wale hai, chalo jante hai, what is Hotstar in hindi, why and how to use Hotstar in hindi 2019.

Hotstar kya hai ? What is Hotstar in hindi ?


jyadatar log Hotstar ke baare me ante hai, lekin ham yeh post un sabhi logo ke liye likh rahe hai jo Hotstar ke baare me kuchh bhi nahi jante hai, is post ko padhane ke baad sabhi log Hotstar ke baare me janane lagenge.

India me Hotstar ka use TV Serials, movies, videos or sabse jyada Sport ( live cricket match online) dekhne ke liye kiya jaata hai.


Hotstar Kya hai ? what is Hotstar in hindi ?

Hotstar ek indian digital or mobile Entertainment Platform hai, isko 6 February 2015 ko Star india ke dwara launch kiya gaya  thaa.

iski ownership Novi Entertainment ke paas hai. jo ki star india ke owner wali helping company hai, yeh stream media or video on demand service provide karta hai.

yeh ek esi website hqai jo ki Tv shows, match jaise programmes apani website par provide karte hai. iska use lagbhag 400 million user karte hai, iske 100 se jyada Advertiser hai.

iski website ke alawa mobile device ke liye Application bhi available hai jo Android, Ios, Fire Tv or Apple TV platform par hai.

Hotstar India ka largest premium stream platform hai, jisme 17 Languages me 100000 hours se bhi jyada Drama and movie available hai,

Isliye log iska use live cricket match jaise sport shows dekhne ke liye karte hai or movie dekhne ke liye karte hai. or kuchh log isko apane mobile me kuchh TV channels ko dekhne  ke liye karte haai.

Hotstar ka use kaise kqare ? How to use Hotstar in hindi ?


Hotstar ko use karne ke lye iski website Hotstar.com or mobile Application ka use kar sakte hai.

Agar aap ek pc user hai to iski website or agar mobile user hai to mobile application ka use kar sakte hai. jisko sabse pehle aapko download karna hoga jo ki google play store par available hai.

Hotstar ka use ham kuchh is tarike se kar sakte hai jo hamne niche bataye hai aap usko bhi padhe or jankari lijiye.

1. TV Channels


Hotstar ki website par jaane ke baad aapo sabse pehle TV channelas ka hi option milega or aapko tv dekhna hai to aap Hotstar par aasani se dek sakte hai, jaise ki hamane kuchh niche channel ke name diye hai wo sab channels aap Hotstar par jaa kar dekh sakte hai. Like...
Hotstar Specials
StarPlus
Star Jalsa
Star Vijay
Star Bharat
Life OK
Star Sports

 Yaani aapko is website par star india ke all chanels milenge, abhi is par 30 se jyada tv channelas mlenge or isko aap dekh bhi sakte hai.

2. Movies


Hotstar ka second option hai movies ka jisme aapko bahut saari hollywood movie dekhe ko milegi , yaha ar aap action, drama, Trailer,comedy,family,crime,kids or bahut saari categorys ki movies ko aasani se dekh sakte hai.
Yaha par aap ll types ki super hit movies or Trailer online HD me free me dekh sakte hai.

Or agar movies ki bhasha ki baat kare to yaha par aapko Hindi, english, Tamil, Bengali,Telugu.Malayalam.Marathi,kannad, or gujarati Languages me movies mil jayegi.

3. Sports

Sabse jyada Hotsrat par use  hone wala sport channels hai or sport ki all categorys jaise ki Live Sport Sreaming, update and live Sports scores dekhne ko mil jaata hai, jisme cricket sabse top par hai.

Yaha par aap Cricket, Football, Badminton, Hockey, Kabaddi, eSports, Tennis, Table Tennis, Athletics, Golf, Swimming, Boxing etc. All types ka sports dekne ko milenge.

4. News


Agar aapko news dekhna bahut pasand hai to aap Hotstar ka use news dekhne ke liye bhi kar sakte hai. Yaha par live news, breaking news, and top popular news ki service mil jaati hai.
Hotstar par aap ABP News, Aaj Tak, India Today, Fox News, Sports News yaani ki duniya ki top news channels ko aasani se dekh sakte hai jo aapko pasand hai wo dekh sakte hai. Wo bhi live.
Ek baat ko yaad rakhe ki Hotstar kuchh time ke liye aapko all service free me de sakta hai  lekin live stream or sport or top movies ko dekhne ke liye aapko iska primium plan lena padega.

Hotstar ka use kyu kare ? Why use Hotstar in hindi ?


Agar aap soch rahe hai ki Hotstar ka use kyu kare ? to mai aapko bata du ki yeh baat baht hi simple hai, agar aap Movies, TV Shows, Sports dekhne ka shokh rakhate hai tob Hotstar aapke liye best app or website hai.
Aap Hotstar ka use movie, tv shows or sport dekhane ke liye kar sakte hai, aapne upar ki jankari padhane ke baad sama gaye honge ki Hotstar ka use kyu kare ? to iske baare me jyada baat nahi karenge,

Final word


So friends is post me hane Hotstar kya hai, what is hotstar ? or hotstar ko kyu use kare or kaise use kare yeh sab bataya hai, i hope aapko yeh jasnkari achhi lagi hogi, to apane friends ke sath share karna bilkul naa bhule.
Agar aap abhi tak Hotstar ke baare me nahi jante hai to is post ko padhane ke baad aapko sab samaj me aa jayega. Or hotstar ka use kaise kare wo bhi samaj aayega, thanks for reading our blog..


Post a Comment

उम्मीद करता हु की आपको यह जानकारी पसंद आयी होंगी | तो आप comment करे हमको बहुत ख़ुशी होगी | लेकिन किसी भी प्रकार की spamming मत करे | अन्यथा आपका comment Delete कर दिया जायेगा.

Previous Post Next Post
Author bio image

About the Admin


Hey ! I Am Dhaval Rathod, I share All Internet tips and tricks in hindi | android tricks | tech news| best tricks | Virral News | blogging guide| internet news hindi | make money online free| Internet Ki jankari Hindi Me.|